Hello Friends ,
Kya aap apne blog ke liye free domain buy Karke Paise kamana chahte hai agar ha to is post ko jarur dhyan se read Kare kyuki agar aap dhyan se nahi read karenge ko isme koi problem ho sakti hai jisse aapka domain bhi cancel ho sakta hai.
Internet par godaddy Aur bigrock jaise bahut se websites hai Jo domain deti hai jisse aap domain buy Karke apne blog par domain use kar sakte hai aaj kal bahut se log yese hai Jo apne blog par domain nahi buy kar pate hai kisi Karna se jisse unke blog par na to traffic aati hai Aur nahi earning hoti hai jisse o dheere dheere blogging karna chhod dete hai . lekin mai kahta hu ki unko blogging chhodne ki koi Jarurat nhi hai kyuki aaj mai aapko yesi trick batane ja raha hu jiski help se aap apne blog ke liye free domain buy kar sakte hai Aur use kar sakte hai.

Blog Ke Liye Free Domain Buy Karne Se Kya Fayda Hai


• Agar Aap apne blog ke liye free domain buy karte hai to iske liye aapko kisi bhi prkar ka koi bhi paisa ( money ) nhi dena padta hai.
• Aap free domain buy Karke apne blog se earning kar sakte hai.
• Aap free domain se bhi AdSense ke liye apply kar sakte hai.
• aap kisi bhi site se Paise Kamane ke liye free domain se apply kar sakte hai.
• Agar aap Free domain buy Karke blog par use karte hai to aapko adhik traffic milegi.
• Aap free domain se apne blog ki traffic increase kar sakte hai.
• Aap Apne Blog par traffic increase Karke AdSense se paisa earn kar sakte hai.

Is Free Domain Se Aap Kya - Kya Kar Sakte Hai

• Aap Apne blog ki traffic increase kar sakte hai. 
• Aap AdSense ke liye apply kar sake Hai.
• Aap Apne free Blog se AdSense ke liye apply Karke apne blog se Paise earn kar sakte hai.
• Aap Paise Kamane ke liye is blog se kisi bhi site ke liye aaply kar sakte hai.
• Aap apne blog par traffic increase Karke apni income increase kar sakte hai.

Free Domain 

Aap Kis  Type Ke Free Domain Buy Kar Sakte Hai

Aap Apne blog ke liye agar free domain buy karna chahte hai to aapko freenom site se free domain buy karna hoga Aur ab mai aapko batane jaa raha hu ki aap freenom se kis type ke free domain buy kar sakte hai.
•tk
.ml
.cf
.ha
.GQ
Yahi o domains names hai Jo aap free me buy kar sakte hai.

Free Domain Buy Karne Ke Liye Kya - Kya Chahiye.

• Apke pass ek blog hona chahiye jisme aapko apna domain setup karna hoga.
• Aapke pass Facebook account ya Google+ par account jarur hona chahiye.
• Aapke domain name yesa hona chahiye Jo available ho.
• Isme Aapko Kisi bhi type ka payment method Nhi choose karna padta Hai. Jisse aap bina kisi ATM card ke domain use kar sakte hai.

Apne Blog Ke Liye Free Domain Kaise Buy Kare.

Agar aap apne blog ke liye free domain buy karna chahte hai to sabse pahle aapko kis blog me us domain ko setup karna hai use select karna hoga. Agar aap free domain apne blog ke liye buy karna chahte hai to niche diye gaye sabhi steps ko dhyan se read Karke follow Kare.
Step 1 :- sabse pahle aapko Dot.Tk site par Jana hai jisme aapko apne account ko login karna hoga direct login karne ke liye niche ki link par click Kare.
Step 2 :- ab aapke samne Jo page open hoga usme aapko login method choose karna hai .
Mere according aapko Google+ choose karna chahiye. Kyuki Google se Aapka account secure rahega.
Step 3 :- login Karne ke baad page ko scroll down Karke sabse niche jaye Aur waha par Aapko Register A New par click karna hai click Karne ke baad ye page close ho jayega Aur new page open hoga jisme aapko apna domain name enter Karke Check Availability par click karna hai Aur click Karne ke baad ek yesa page open hoga.
Aapko Jo bhi domain pasand hai uske same Get It Now par click Kare. Click Karne ke baad upr aapko Checkout par click karna hai. 
Iska baad ek yesa page aayega 
Jisme aapko yah select karna hai ki aap kitne time ke liye domain use karna chahte hai Aur yah select Karne ke baad Continue par click Kare.
Step 4 :- Continue par click Karne ke baad aapke samne ek page open hoga Aur usme apni sari details bharkar Aur fir last me term & conditions par tick Karke complete order par click Kare.
Aapka order complete hone par kuchh is type ka aayega.

Free Domain Ko Apne Blog Me Kaise Setup Kare. With Very Easy Steps

Abhi Maine aapko upar bataya hai ki apne blog ke liye free domain kaise buy Kare lekin ab mai aapko bataunga ki aapne Jo domain buy kiya hai usko blog me kaise setup Kare. Kyuki sabse most important yahi step hai .
Step 1 :- sabse pahle apne blog ko login Kare Aur fir apne blog ke setting me jaye Aur fir besic section me jaye. Waha par aapko ADD A Third Party URL For Your Blog click karna hai
 Aur fir click Karne ke baad ek page open open hoga jisme aapko apne domain ka URL enter karna hai Jo aapne buy kiya tha.
Aur fir aapko save par click karna hai . save par click Karne ke baad kuchh yesa aayega 

Ab isko yese hi rahne dena hai.
Step 2 :- ab fir Dot.tk account me jakr use lagin Kare . Aur fir login Karne ke baad uske footer me jaye Aur waha par Aapko my domains par click karna hai Aur fir new page open hoga jisme aapka domain name rahega.
Waha par aapko Manage Domain par click karna hai.

 
Manage Domain par click Karne ke baad kuch is type ka aayega
Jisme aapko Manage Domain DNS par click karna hai. Iske baad ek page open hoga o kuch es type ka rahega.
Aapko sabse pahle wale box ke type section me A Select karna hai Aur target me 216.239.38.21 type karna hai.
Iske baad aapko More Records par two time select karna hai.
Jisme aapko dono box ke type me CNAME select karna hai Aur fir second Box ke name me www add karna hai Aur 2nd box ke target me ghs.google.com me type karna Hai.
Step 3 :- 3rd box me aapko vo code ( 1 ) add karna hai jab Aapke Apne blog me apna domain name add kiya Aur aapko mila hoag iske baad aapko target me code no. ( 2 ) add karna hai.
Iske baad save par click Kare. Agar aapko koi problems hai to niche image ko dekhiye.
Step 4 :- ab apne blogger ko login Kare Aur fir setting me jaye Aur fir besic par click Karke Apne Jo domain name buy kiya tha waha waha par save par click Kare .
Aur ab aapke. Blog me free domain add ho chuka hai . agar Aapko koi problems hai to comments Kare.
Agar aapko yah post pasand aaye to is post ko jarur share Kare.

Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

5 comments:

  1. Kya hum kuch blogs likhanai k baad domain buy kar sakatai agar ha bad mai buy karnai k kya nuksaan hai

    ReplyDelete
  2. Malik Mobile Latest News update best hosting service only on https://www.malikmobile.com

    ReplyDelete
  3. https://www.malikmobile.com/cutestatweb

    ReplyDelete
  4. https://www.malikmobile.com/website

    ReplyDelete