Aaj ham janenge ki Blog ko google search console me kaise add/submit kare. Jab ham new blog banate hai aur us blog ko google me lane ke liye hame us blog ko google search console me add karna hota hai aur jab ham blog ko google search console me add karte hai tab hamara blog aur blog ki sabhi posts google me aane lagti hai. Aur yah aapko jarur pata hi hoga ki duniya ka sabse baad search engine google me word ke 95% se adhik log google ka use karte hai.
Blog ko google search console me add karne se hamare blog ko traffic milna shuru ho jata hai aur blog ko sabse adhik traffic google se milti hai. Agar aapne new blog banaya hai aur aap apne blog ko google me lana chahate hai to is article me ham aapko asan tarike se batayenge ki blog ko google search console me kaise add kare.

Blog Ko Google Search Console Me Add Karne Se Kya Profit Hota Hai :


Blog ko Google search console me add karne se bahut profit hota hai. lekin mai aapko kuch important points ke bare me bata raha hu .
1. Blog ko Google search console me add karne se aapka blog google search engine me aane lagta hai.
2. Blog ko Google search console me add karne se blog ki posts google search engine me show hone lagti hai.
3. Aapke blog ko Google search engine se sabse adhik traffic milta hai.
4. Aapke blog ko dhire - dhire traffic milne lagta hai jisse blog ki rank increase hoti hai.
5. Aapke blog ka AdSense account jaldi approved ho jata hai jisse aap income kar sakte hai.

Google Search Console Kya Hai : 

Google Search Console Google ki ek free service hai Jo blog ki activity , status etc. Ke bate me batati hai. Google search console se blog ko Google me laya ja sakta hai aur yah service sabhi ke liye free hai. Google Search Console pahle Google Webmaster Tool ke name se Jana jata tha but Google ne iska name 20 May , 2015 se change karke Google Search Console rakh diya hai So , isme aapko confuse hone ki jarurat nhi hai ki Google Search Console koi alag service hai.


Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare

Ab ham janenge ki blog ya website ko Google search console me kaise add kare. Blog ko Google Search Console me submit karne ke liye niche diye gye steps ko follow kare.
Step 1. Sabse pahle Google Search Console ki website par jaye.
Step 2. Apne Gmail Account se google search console me login kare.
Step 3. Waha par ADD A PROPERTY par click kare.
 Step 4. Add A Property par click karne ke baad ek page open hoga usme apne blog ka URL enter karke Add ki button par click karna hai.

Step 5. Apne Blog ka URL add karne ke baad alternate methods par click karke HTML Tags Ko select kare. Usme Jo HTML Code aayega use copy kare. 

Step 6. Ab apne blog ko Google search console Se verify karne ke liye sabse pahle Blogger.Com par jaye aur fir Theme me jaye.

Step 7. Waha par aapko Edit HTML par click karna hai aur fir aapke samne bahut se coding aa jayengi usme kahi par click karke  CTRL + F ka button par click kare aur fir <head> type karke Enter Button press kare.
Step 8. Ab Aapne Jo Code Google search console Se copy kiya tha uska <head> ke niche pest karke Save kare. Save ho Jane par Google Search Console ki site par aakar Verify par click kare.
Verify par click karte hi Apki site ( blog ) Google search console me submit me jayegi aur aapki site kuch hours me Google search engine me show hone lag jayegi.
Agar aapko yah article pasand aaya to is article ko social sites par jarur share kare.
Agar aapko apne blog ko Google search console me submit / add karne me koi problems aa rahi hai to hame comment karke bataye.
Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

1 comments:

  1. Just admiring your blog. Great topic you have got here. I am also trying to write some blogs. One of them is here.we are here to tell you about “How to change Apple ID password". You can take help from this content if you want to change Apple ID password.
    Thanks!

    ReplyDelete