Hello Friends , kya aap online paise kamana chahte hai ? Aur aap blogging bhi nhi karna chahte hai ? , Kya aap typing nhi karna chahte hai ? , kya aap blog nhi manage karna chahte hai ? Lekin fir bhi aap paise kamana chahte hai to aaj mai aapko bataunga ki bina typing , bina blogging ke paise kaise kamate hai. Agar aap paise kamana chahte hai to aaj ham aapko batayenge ki bina blogging ke paise kaise Kamaye jate hai.
Bina Blogging aur bina typing se paise Kamane ke bahut se tarike hai but un sab me se sabse best tarika hai YouTube par videos upload karke paise kamane ka. Bahut se log is tarike ke bare me jante hai Aur bahut se log is tarike ke bare me nhi jante hai to aaj mai aap sabhi ko bataunga ki  kaise aap YouTube par videos upload karke pause kama ( Earn ) kar Sakte Hai.

YouTube Kya Hai 

YouTube Google ki ek yesi social website hai jisme ham videos upload Karke Paise kama Sakte Hai. YouTube channel banane ke Liye hame kisi bhi prkar ka account nhi banana hota hai ham gmail ki madad se hi ise log in kar Sakte Hai. 
YouTube channel par ham videos upload Karke asani se Paise earn kar Sakte Hai. Isme hame jyada work nhi karna padta hai kyuki isme ham AdSense account Banakr Aur videos ko monetize Karke YouTube se Paise kama Sakte Hai.
YouTube par ek videos par 1000 views hone par aapko $0.5 - $05 Tak Paise earn kar Sakte hai Aur iske baad aapko ads show karne  ke Jo Paise milte hai uske alag hai.

YouTube Se Kitne Paise Earn Kar Sakte Hai

YouTube channel par videos upload Karke paisa Kamane ka sabse achcha tarika hai. Ek Videos par agar 1000 views hai to aapko $0.5 - $05 tak mil Sakte Hai Aur $1 me 65 rupees hote hai ( Aur ye change bhi hote rahte hai ).
Agar aap YouTube par achche se work krenge to bahut Paise kama Sakte hai.
For Example :- 10,000 , 15,000 Aur aap 50,000 se 100,000 take bhi earn kar Sakte Hai.

YouTube Se Earn Kiye Gye Paise Aapko Kis Prakar Milenge 

YouTube join karne se pahle sab log yahi sochte hai ki YouTube se ham Paise earn kar to Sakte Hai Lekin us Paise ko ham kis prkar prapt kar Sakte Hai Lekin aapko chinta karne ki koi Jarurat nhi kyuki mai aapko bataunga ki YouTube se Paise Kamane ke baad use Kaise use Kare ya kis prkar us Paise ko prapt kar Sakte Hai.
YouTube par sab log mostly AdSense Ke ads lagake Paise kamate hai Aur YouTube se earn kiye gye Paise aapke AdSense account me aayenge Aur YouTube videos ko monetize karne ke liye AdSense account ki Jarurat hogi agar aapke pass AdSense account nhi hai to niche ki link par click Karke AdSense account bana lijiye.

YouTube Par Videos Upload Karke Paise Kamane Ke Liye Kis Chiz Ki Jarurt Hogi

• Ek Gmail Account ( Agar Aap Apne Mobile Ka Use Karke Is Method Se Paise Kamana Chahte Hai To Aap Asani Se Kar Sakte Hai.
• Google+ Account ( Agar aap googel + account ka use Karke uspr videos ko share karte hai to bhi aap Paise earn kar Sakte Hai Lekin 1 video ka only 1 bar hi share karna hai. )
• Aapke Pass Ek Camera Hona chahiye ( Agar aap khudi videos Banakr YouTube par dalte hai to aap bahut jaldi success honge agar aap copyright videos ko upload karte hai to aap kabhi success nhi ho Sakte Hai. )
• Ek Computer Ya Laptop ( Agar aapke pass koi computer ya laptop hai to usse apne videos ko achche se design Karke upload karne par adhik Paise milte hai )
• Agar aap Koi Post Type Ki Videos ko upload karte hai to usme viewers ko guide karne ke Liye aapko khud bol kar guide karna hoga.
• Aapke pass ek YouTube channel jarur hona chahiye agar aapke pass YouTube channel nhi hai to aapko ek YouTube channel banana Hoga. Agar aapko nhi pata hai ki YouTube par kaise channel banate hai to aapko niche guide kiya jaa raha hai.
• Gmail Account Ko Hacker Se Kaise Bachaye. Top 10 Tips.
• Google Par Gmail Account Kaise Banaye. Complete Guide Hindi Me.

YouTube Se Adhik Paise Earn Karne Ke Liye Kin - Kin Chizo Ki Jarurat Hogi

Yahi points sabse important hai ki YouTube se adhik Paise Kamane ke liye kin kin chizo ki Jarurat hoti Hai Aur sabse bada question bhi yahi hai kyuki inhi sab points ko read Karke aap Paise earn kar Sakte Hai . lekin Isme aapko jyada kuch nhi Karna hai .

1. Voice

YouTube se Paise Kamane ke Liye sabse important chiz hai aapki voice kyuki Paise Kamane ka ek talent aapki voice me hi hota hai Aur agar aapki voice clear hai to aap asani se Apne visitors ko akarsit kar Sakte Hai. Aur visitors aapki voice par jyada dhyan dete hai.

2. Your Talent 

Jaisa ki Maine abhi aapko upr bataya hai ki visitors aapki voice par bahut adhik dhyan dete hai par sabse jyada yah important hai ki apke under kitna talent hai ya fir ham kah Sakte Hai ki aap videos ko kis prkar apne talent ke dwara details me batakr visitors ko attract karte hai. Isi talent ke dwara visitors aapki new video ka hmesa intjar karte hai.

3. Your Videos Quality

Aapne yah jarur dekha hoga ki bahut se log yese hai Jo YouTube par videos upload Karke bahut Paise earn karte hai to aapki unki videos ko jarur hi dekha hoga to aapne yah bhi jarur notice kiya hoga ki unhone Jo bhi videos ko upload kiya hai unki videos ki quality bahut hi achchi hai.
To aapko apne YouTube channel se adhik Paise Kamane ke Liye achchi quality ki videos ko upload karna hoga.

4. Your & Videos Style

Agar aap YouTube par Jo bhi videos ko upload karte hai un videos ka achchi quality ka hona to bahut ji jaruri hai jisse ki un videos ko asani se dekha ja sake Aur us videos me Jo bhi hai vo clear show hona chahiye. Lekin in sabhi se hat kar yah hai ki Your & Videos Style ( iska MATLAB yah hai ki aap jis videos ko upload karte hai usko yesi style se show karwana hai jisse ki visitors aapke new videos ka intzae Kare.

5. Videos Editing 

Maine aapko kuch tarike upr bataye hai ki Paise Kamane ke Liye kis - Kisi chiz ki Jarurat hogi lekin agr aap camera se videos ko record Karke us videos ko direct YouTube par upload karte hai to aap kabhi bhi success nhi ho Sakte hai Aur agar aap success hona chahte hai to us videos ko achche se edit Karke upload karte hai to aapka success hona pakka hai.

6. Social Sites

Agar aap YouTube par new hai to aapke pass WhatsApp Groups , Facebook Groups , WhatsApp Pages , Google+ Account par thode bahut friends hone chahiye taki vo aapki videos ko dekh kar us videos ko share Kare. Agar Apne friends aapke videos ko share karte hai to aapko jyada visitors milenge Aur unki madad se aap achche Paise kama Sakte Hai.

YouTube Se Paise Kamane Ke Kaun - Kaun Se Tarike Hai

1. Google AdSense 

Mostly YouTube se Paise Kamane wale AdSense ka use karte hai kyuki AdSense Aur sabhi websites se bahut adhik paisa deta hai Aur jaldi bhi paisa deta hai isi Karna se AdSense world me famous hai. AdSense ke dwara YouTube se Paise Kamane ke Liye YouTube channel ko monetize karna padta hai Aur YouTube par AdSense ka ek ads dekhne par Kam se Kam 3 - 5 rupees milte hai. Aur YouTube par 1000 views par aapko $0.5 - $05 tak milta hai . 

Promote Other YouTube Channel

Agar aap kisi Aur ke YouTube channel ko promote karte hai to bhi iske Liye aapko Paise milte hai Aur aap bhi isse achcha paisa kama Sakte Hai.

Sell Videos 

Agar aap videos sell Karke Paise kamana chahte hai to sabse phle aapko high quality ki videos banana hoga kyuki low quality ki videos ki koi bhi value nhi rahti hai. Aur high quality videos ki value bhi bahut adhik rahti hai Aur high quality ki videos par viewer bhi bahut adhik aate Hai. Aur aapko videos sell Karne ke Liye kisi YouTube admin se contact karna hoga Aur tabhi aap videos ko sell kar Sakte Hai.

Sell Products

Agar aap apne ghar par hi kisi prkar ka koi bhi products Banate hai Aur Aap usko sell karna chahte hai to us products ki ak achchi Aur high quality ki video ko Banakr YouTube par upload Kare Aur products ke bare me Aur upyog Karne ke tarike ke sath - sath price bhi add Kare. Isse yah Fayda hoga Ki aapko products sell Karne par bhi Paise milenge Aur YouTube se Jo Paise milenge vo to alag hai.

YouTube Videos Se Income Kis Prkar Hoti Hai

Agar aap kisi kaam me success hona chahte hai to sabse pahle sab logo ki yahi advice rahti hai ki kisi bhi kaam ( work ) ko Karne se pahle uske bare me puri Jankari jarur honi chahiye kyuki bina Jankari ke aap kabhi bhi kisi bhi kaam me successful nhi ho Sakte Hai . chahe wah kaam chota ho ya fir koi bada kaam ho us kaam ( work ) me success hone ke Liye uske bare me aapko puri Jankari ( knowledge ) honi chahiye.
Mostly YouTube users paisa sirf 2 tarike se kamate hai 
1st :- AdSense Ke Ads Show Karke.
2nd :- YouTube Par Adhik Views Milne Se.
Lekin mai aapko aaj 4 tarike bataunga jisse aap bahut adhik Paise kama Sakte Hai.
1st:- Agar Aap Apne YouTube Channel par ads lagate hai Aur jab viewers us ads par click karte hai to aapko income hoti hai.
2nd :- Jab aapke Kisi YouTube videos par 1000 views ho jate hai tab aapko $0.5 - $05 tak milte hai Aur ye Paise kitne milenge ye aapki videos ki quality par depend karta hai.
3rd :- AGR aap kisi YouTube admin ke channel ko promote karte hai to us channel ka admin aapko promote ke Liye Paise dega .
4th :- agar aap apne products ya Kisi company ke products ko sell ya promote karte hai to iske Liye vo company aapko Paise degi.

YouTube Se Paisa Kaise Kamaye Full Guide In Hindi

Agar aapne upr diye gya sabhi points ko dhyan Se padh Liye hai to mai ab aapko bataunga ki YouTube se Paise kaise kamate hai.

1st :- Create A YouTube Channel 

Step 1. Sabse phle aapka YouTube.Com par jaana hai Aur fir My Channel par click karna Hai. agar aapka koi YouTube channel hai to aapka channel open ho jayega agar aapka koi YouTube channel nhi hai to ek popup page open hoga usme niche aapko ek Create Channel ki button par click karna hai.

2nd :- Upload 5 - 10 Videos ( Without Any Copyright )

Agar aapko YouTube par videos upload kana nhi aata hai to sabse pahle YouTube.Com par jakar My Channel Par click kijiye. Aur fir upr aapko Upload ka Icone bana hoga uspar click Karke aap videos ko Apne channel par upload kar Sakte Hai.
YouTube me AdSense approved 10,000 views ke baad hota hai.
Agar aap apna AdSense approved karwana chahte hai to Kam se Kam apne YouTube channel par 10 videos ko upload Karke apne channel par 10,000 views Banaye . iske Liye aap social websites ki madad le Sakte Hai.
Aur AdSense se Paise Kamane ke Liye apne YouTube channel ko monetize karna hoga.

3rd :- YouTube Channel Ko Monetize Kaise Karte Hai

YouTube se Paise Kamane ke Liye aapko apne YouTube channel ko monetize karna bahut hi important hota hai bina YouTube channel ke monetize ke aap Paise nhi earn kar Sakte Hai.
Sabse phle apne YouTube channel ko login Karke My Channel par click Karna hai Aur fir aapko Video Manager Par click karna hai.
Video Manager par click Karne ke baad aapko Channel par click Karna hai.
Aur fir aapko waha par Monetization ka box dikhega Aur aapko waha par Enable par Click karna hai. 
Aur enable par click Karne ke baad aapko kuchh yesa dikhae dega
Isme start par click Karke ke baad aapke samne Jo bhi steps hai usko follow Karke aap apne YouTube Channel Ko Monetize kar Sakte Hai.

Agar aapko yah post pasand aayi hai to is post ko social media par share Kare. 
Agar aapko koi problem hai to comments Karke hme Banaye.
Happy Blogging.....
Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

8 comments:

  1. I’ve been surfing online more than 5 hours today, yet I never found any interesting article like yours without a doubt. It’s pretty worth enough for me. Thanks... buy youtube views

    ReplyDelete
  2. When you use a genuine service, you will be able to provide instructions, share materials and choose the formatting style. youtube subscribers

    ReplyDelete
  3. Thanks for the blog filled with so many information. Stopping by your blog helped me to get what I was looking for. Now my task has become as easy as ABC. youtube likes

    ReplyDelete
  4. I have a mission that I’m just now working on, and I have been at the look out for such information youtube video download online

    ReplyDelete
  5. bahut hi badhiya likha hai aapne, thanks Free Song Lyrics

    ReplyDelete