Hello Friends,
Kya aap apne gmail account ko safe rakhna chahte hai ? Kya aap apne gmail account ko secure karna chahte hai ? Kya aap apne gmail account ke mail ko safe rakhna chahte hai ? Kya aap apne gmail account par two step verification enable karna chahte hai ? Agar ha to is post ko dhyan se read kare because mai aapko in sabhi questions ka answer is post me dene wala hu.

Aaj kal bahut se yese log hai jinke liye gmail account bahut hi important hota hai kyuki gmail account par unki sabhi information , social sites account Aur bank account Aur bhi bahut kuch hota hai Aur unko hamesa yahi dar rahta hai ki kahi mera gmail account hack na ho jaye . Aur bahut se log yese hote hai jinke gmail account ka password kai logo ko pata chal jata hai jisse ki unke gmail account ke hack hone ka hamesa bahut dar rahta hai.
Lekin unko tention lene ki koi Jarurat nhi hai kyuki aaj mai aapko yesi trick batane ja raha hu jisse ki aapka gmail account koi bhi hack nhi kar sakta hai agar kisi ko aapke gmail account ka password bhi pata hai to vo fir bhi aapke gmail account ka password hack nhi kar skta hai.
Aapke gmail account ko safe rakhne wali trick ka naam hai two step verification Aur jiska matlab saf hai ki jab bhi aapka gmail account koi login karega us time aapke mobile number par ek OTP ( One Time Password ) ek number aayega jiske madad se aap ap apne gmail account ko login kar skte hai.

Gmail Account Par Two Step Verification Enable Karne Se Kya Fayda Hai

• Gmail Account par two step verification enable Karne se sabse bada Fayda yah hota hai ki aapke gmail account ke kisi bhi details ko koi nhi dekh skta hai.
• Gmail Account par two step verification enable Karne se aapke account se related koi bhi details koi nhi dekh sakta hai.
• Gmail account par two step verification enable Karne se aapka gmail account secure rahega.
• Gmail Account par two step verification enable Karne se aapke gmail account ko koi bhi hack nhi kar sakta hai.

Google Two Step Verification Ke Kya Features Hai

Google two step verification ke bahut se features hai lekin mai aapko important features ke bare me bata raha hu 
• Aapka Gmail Account ki koi bhi mail ko koi bhi nhi dekh sakta hai.
• Google Par two step verification enable Karne se aapka gmail account secure rahega.
• Google par two step verification enable Karne ke aapka koi gmail account hack nhi kar sakta hai.
• Agr kisi ko aapka gmail account Aur uska password pata hai to bhi wah aapka gmail account open nhi kar sakta hai kyuki gmail I'd Aur password enter Karne ke baad aapke mobile number par otp code aata hai jiske madad se gmail account ko login kiya ja skta hai.

Google Gmail Par Two Step Verification Kaise Enable Kare

Ab mai aap sabhi ko bataunga ki aap kaise apne gmail account ko hacker se bachne ke liye Aur apne gmail account ko secure Karne ke liye kaise apne gmail account par two step verification enable kar sakte hai.
Step 1 :- sabse pahle apne gmail account ko login kare Aur fir right side me Jo aapke gmail account ka image aata hai uspar click kare.

Fir ek popup page open hoga jisme aapko My Account par click kare.
Step 2 :- My Account par click Karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko Signing in to Google par click kare.
Step 3 :- signing in to Google par click Karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko Two Step Verification ke samne click karna hai.
Two Step Verification ke samne click Karne ke bad fir ek new page open hoga jiseme aapko Get Started par click karna Hai.

Step 4 :-  get started par click Karne ke baad fir ek new page open hoga jisme aapko Text Massage Ya Call Select Karna hai Aur fir select Karne ke baad next par click kare.

Step 5 :-  Next par click Karne ke baad aapke mobile number par ek OTP code aayega Aur Jo new page open hua hai usme aapko code ko enter karna hai Aur fir next par click karna Hai.
Step 6 :- Next par click Karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko Turn On par click karna hai.
Turn on par click Karne ke baad aapke gmail account par two step verification on ho gya hai . jisse aapka gmail account koi bhi hack nhi kar sakta hai.
Agar aapko yah post achchi lagi to is post ko jarur share kare.
Agar aapko kisi bhi type ki koi problems hai to comment kare.

Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

0 comments: