TRENDING NOW

Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Aaj ham janenge ki Reliance Jio phone free me order kaise kare. Reliance JIO sim card ane ke baad usne Telecom companies me tahlka macha diya tha. Aur ab jio ka free mobile phone lonch karke mobile banane wali sabhi companies ko khatre me dal diya hai.
21 July ko Reliance ke chairman mukesh ambani ne JIO free mobile phone lonch kiya tha is mobile phone ki booking free hai but jab aapka phone deliver kiya jayega tab aapse 1500 rupees Liye jayenge aur reliance JIO company ka yah dava hai ki yah paise 3 year baad aapko wapis ho jayenge.

JIO Mobile Phone Kya Hai :


JIO phone ek aam phone ke jaisa hai but iske sabhi features ek smart phone ke jaise hai but iske bare me reliance JIO company ne puri Jankari details me nhi di hai.

JIO company ne JIO phone ke processer ke bare me abhi tak kuch nhi bataya hai but chipmaker company ne eske bare me ek Twitter par ek post published ki hai jisme likha tha ki JIO phone me Qualcomm 205 soC processer hoga. Jo ki India , letin America aur South asea ke Liye designed kiya gya hai. 
Reliance JIO phone puri tarah se made in India hoga aur iske sabhi features smart phone jaise honge aur iske sabse achcha features yah hai ki aap Reliance JIO phone ko TV se bhi connect kare sakte hai.
Is Mobile phone me voice command ki puri subhidha di gyi hai jisme aap kisi massages ko bolkr send kar sakte hai. Is mobile ko aap 22 language me use kar sakte hai.
Isme aur bhi bahut se best features hai jaise : 2.4 inch display , JIO apps , FM Etc.
JIO phone only JIO ki sim card support karta hai aur isme aapko calling karne ke liye har month 153 ka recharge karwana padta hai.

JIO Phone Ke Best Features :

Is phone ka sabse best features yah hai ki yah mobile phone India me banaya gya hai aur is phone ko Indian engineers ne banaya hai. Is phone ke aur bhi bahut se features hai Jo niche diye gye hai.
• FM Radio
• Alpha Numeric Keypad
• 2.4 Display
• JIO Apps
• Torch Light
• Headphone 
• Memory Card Slot
• Phone Contacts
• Calling Features
• Support 4G Volte For Calling & Data
Aur bhi reliance JIO ke bahut se features hai.

Reliance JIO Phone Free Booking Kaise Kare :

Ab mai aapko batane ja raha hu ki JIO phone ki booking free me kaise Kare aur JIO phone ke best features ke bare me maine aapko pahle hi bata diya hai.

Step 1. Sabse pahle aapko jio phone ki official website par Jana hai jio phone ki official website par Jane ke Liye Click Kare.
Steps 2. JIO phone ki official website par Jane ke baad aapko KEEP ME POSTED par click karna ya Click Kare.
Step 3.  Waha par kuch yesa aayega.
1. Apna First Name Enter Kare For Example Manoj 
2. Ab Apna second name enter Kare For Example Yadav.
3. Apni Email I'd Enter Kare.
4. Apna Mobile Number enter Kare.
5. Apne area ka pincode Enter Kare.
6. Term & conditions me samne tick Kare.
7 ab submit par click Kare.
Submit par click karne ke baad aapko mobile phone par ek massage aayega jisme likha rahega Thank You For Your Interest. We Have Received You Details And Our Team Will Contact You Shortly. Thank You Team JIO. 
Ab aapka jio 4G phone order ho chuka hai jab Jio phone team jio 4G mobile phone ki delivery shuru hogi to jio team aapko contact karke yah bata denge ki yah phone kaise aur kaha par milega.

Agar Aapko Koi Problems ya questions hai to comment box me puche.

Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Aaj ham janenge ki Blog ko google search console me kaise add/submit kare. Jab ham new blog banate hai aur us blog ko google me lane ke liye hame us blog ko google search console me add karna hota hai aur jab ham blog ko google search console me add karte hai tab hamara blog aur blog ki sabhi posts google me aane lagti hai. Aur yah aapko jarur pata hi hoga ki duniya ka sabse baad search engine google me word ke 95% se adhik log google ka use karte hai.
Blog ko google search console me add karne se hamare blog ko traffic milna shuru ho jata hai aur blog ko sabse adhik traffic google se milti hai. Agar aapne new blog banaya hai aur aap apne blog ko google me lana chahate hai to is article me ham aapko asan tarike se batayenge ki blog ko google search console me kaise add kare.

Blog Ko Google Search Console Me Add Karne Se Kya Profit Hota Hai :


Blog ko Google search console me add karne se bahut profit hota hai. lekin mai aapko kuch important points ke bare me bata raha hu .
1. Blog ko Google search console me add karne se aapka blog google search engine me aane lagta hai.
2. Blog ko Google search console me add karne se blog ki posts google search engine me show hone lagti hai.
3. Aapke blog ko Google search engine se sabse adhik traffic milta hai.
4. Aapke blog ko dhire - dhire traffic milne lagta hai jisse blog ki rank increase hoti hai.
5. Aapke blog ka AdSense account jaldi approved ho jata hai jisse aap income kar sakte hai.

Google Search Console Kya Hai : 

Google Search Console Google ki ek free service hai Jo blog ki activity , status etc. Ke bate me batati hai. Google search console se blog ko Google me laya ja sakta hai aur yah service sabhi ke liye free hai. Google Search Console pahle Google Webmaster Tool ke name se Jana jata tha but Google ne iska name 20 May , 2015 se change karke Google Search Console rakh diya hai So , isme aapko confuse hone ki jarurat nhi hai ki Google Search Console koi alag service hai.


Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare

Ab ham janenge ki blog ya website ko Google search console me kaise add kare. Blog ko Google Search Console me submit karne ke liye niche diye gye steps ko follow kare.
Step 1. Sabse pahle Google Search Console ki website par jaye.
Step 2. Apne Gmail Account se google search console me login kare.
Step 3. Waha par ADD A PROPERTY par click kare.
 Step 4. Add A Property par click karne ke baad ek page open hoga usme apne blog ka URL enter karke Add ki button par click karna hai.

Step 5. Apne Blog ka URL add karne ke baad alternate methods par click karke HTML Tags Ko select kare. Usme Jo HTML Code aayega use copy kare. 

Step 6. Ab apne blog ko Google search console Se verify karne ke liye sabse pahle Blogger.Com par jaye aur fir Theme me jaye.

Step 7. Waha par aapko Edit HTML par click karna hai aur fir aapke samne bahut se coding aa jayengi usme kahi par click karke  CTRL + F ka button par click kare aur fir <head> type karke Enter Button press kare.
Step 8. Ab Aapne Jo Code Google search console Se copy kiya tha uska <head> ke niche pest karke Save kare. Save ho Jane par Google Search Console ki site par aakar Verify par click kare.
Verify par click karte hi Apki site ( blog ) Google search console me submit me jayegi aur aapki site kuch hours me Google search engine me show hone lag jayegi.
Agar aapko yah article pasand aaya to is article ko social sites par jarur share kare.
Agar aapko apne blog ko Google search console me submit / add karne me koi problems aa rahi hai to hame comment karke bataye.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
" Unfortunately App Has Stopped " Error ko fix kaise kare Ya " Unfortunately App Has Stopped " Problems Ko solve kaise kare
Aaj mai yah jankari aap sabhi logo ke sath share karne ja raha hu. Agar aap android mobile phone use karte hai to aapne yah jarur dekha hoga ki jab ham kisi app ko use karte hai to usme  " Unfortunately App Has Stopped " likhta hai .

Bahut Se smart phone users ki yahi problems rahti hai aur kabhi - kabhi Google play Store has stopped likhta hai . agar aapke smart phone me yesa hota hai to aap usko remove ya hatana chahte honge agar aap hatana change hai to is post ko dhyan Se read Kare.


" Unfortunately App Has Stopped " Kyu Aata Hai :

Agar aapke Smart Mobile phone ke apps me " Unfortunately App Has Stopped " likha hua aata hai to aap yah jarur janana chahte honge ki yah problems aapke smart phone me Kyu aati hai is Error ko kaise solve kare
1. " Unfortunately App Has Stopped " Error Kisi bhi smart phone par aa sakta hai chahe vo 3G Smart Phone ho ya 4G Smart Phone ho ya 2G Smart phone ho ye error usi smart phone ke apps me aate hai jinme koi problems aa jati hai.
2. Aapke Smart phone me virus aa Jane ke karan " Unfortunately App Has Stopped " ki problems aati hai.
3. Jab Ek Sath aapke smart phone me bahut sari Apps open ho jati hai tab ye problems aati hai.
4. Jab aapke Android mobile ke kisi apps me virus aa jate hai to ye problems aati hai.
5. " Unfortunately App Has Stopped " Error tab aata hai jab wah app crash ho jata hai ya usme koi problems aa jati hai.


" Unfortunately App Has Stopped " Error Ko Solve Na Karne Se Kya Problems Aati Hai :

Unfortunately app stopped error ko apne smart phone se remove or solve na karne se aapke phone me bahut si new problems aa sakti hai Jo future me aapke smart phone ke liye dangerous ho sakta hai. Jaisa ki Maine aapko pahle hi bata diya hai ki yesi problems Kyu aati hai uska reasons kya hai but ab mai aapko yah bataunga ki " Unfortunately App Has Stopped " Error ko solve na karne se aapke smart phone me kya - kya problems aa sakti hai.
1. App Has Stopped Error ko solve na karne se aapke phone ki life khatam ho jati hai kyuki dhire - dhire yah problems sabhi apps me ho sakta hai.
2. Aapka Smart phone hang hone lag sakta hai aur koi bhi hang hone wala mobile phone use nhi karna chahta hai.
3. Aapke phone me virus aa sakte hai jisse aapke sabhi documents crash ho sakte hai.
4. Aapke smart phone ki battery life khatam ho sakti hai.
Ab to aap samajh hi gye honge ki " Unfortunately App Has Stopped " error ko solve na karne se aapke smart phone me kitni problems create ho sakti hai.

" Unfortunately App Has Stopped " Error Ko Fix Or Solve Kaise Kare : 

Ab mai aapko bataunga ki aap kaise apne android mobile Se "Unfortunately App Has Stopped " error ko solve kaise kare yaha mai mai aapko 2 popular method bataunga.

1st Method : 

Is method Se aap usi app ke error ko solve kar sakte hai jisme problems ho rahi hai aur isme aapko kisi bhi type ka koi android apps download nhi karna hota hai.
Step 1. Sabse pahle apne mobile phone ki setting me jaye.
Step 2. Apne mobile ki setting me Jane ke baad scroll down kare waha par aapko apps ka option milega aapko apps ke option par click karna hoga.
Step 3. Apps ke option par click karne ke baad waha par all ka option hoga aapko usme Jana hai.

Ab aapke jis bhi apps me " Unfortunately App Has Stopped " aa raha hai uspe click kare.

Step 3. Us App par click karne ke baad waha par aapko 2 ya 3 options diya jayenge.
1. Clear Data
2. Clear Cache
3. Clear Defaults
Aapko in 2 ya 3 option par click karna hai iske baad aapke us app Se error solve ho jayega . agar yes a error kisi aur apps me bhi ho raha hai to usko bhi aap isi type Se solve kar sakte hai.


2nd Method

Ye method bhi bahut aasan hai is method Se bhi error ko solve kiya ja sakta hai is method Se yah fayda hota hai ki jis apps me error rahta hai vo solve ho jata hai aur aapke phone ke virus bhi remove ho jate hai. Lekin is method me ek problems bhi hai isse aapke phone Se sabhi data clear ho jayenge For Example :- Contact , Images , Songs , Documents Etc. Isliye is process ko complete karne Se pahle apne smart phone ka data backup download kare. Ab mai aapko batane ja raha hu ki " Unfortunately App Has Stopped " Error ko solve kaise kare.
Step 1. Sabse pahle apne mobile phone ki setting me jaye aur scroll down karke Backup & Reset ka option find kare.
Step 2. Backup & Reset ke option par click kare.
Step 3. Waha par aapko Factory Data Reset par click karke apne smart phone ko reset kare.

Ab aapke phone Se " Unfortunately App Has Stopped " Ka error solve ho jayega.

Agar aapko yah post achchi lagi to share karna na bhule . agar aapko is process ko complete karne me koi problems hai to comments kare..

Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Aap log to Facebook use karte hi honge agar aap log Facebook use karte hai to yah post aapko jarur hi pasand aayegi kyuki mai aap sab ko aaj ek yesi trick batane wala hu jiski madad se aap yah dekh sakte hai ki aapne kis - kis ko Facebook par friend requests send ki hai. Or aapko yah bhi bataunga ki Facebook par sent requests ko cancel kaise Kare.

Jab koi Facebook par new hota hai to usko Facebook ke bare me jyada knowledge nhi hoti hai aur bhi bahut se yese log hai jinko Facebook ke bare me jyada knowledge nhi hai . aur Facebook ke bare me jab kisi ko knowledge nhi rahti hai to vo Facebook account create karke adhik se adhik friend requests send karta hai aur adhik friend requests send karne se Facebook account block bhi ho jata hai.


Facebook Par Sent Requests Ko Cancel Kyu Karna Chahiye :

Facebook privacy ke according Facebook par kewal unhi logo ko friend requests send kar sakte hai jinko aap jante hai but bahut se log ek hi bar me bahur sare Facebook users me pass friend requests send kar dete hai jisse bahut loss ho sakta hai.
1. Facebook par jyada friends requests send karne se aapko Facebook account block ho sakta hai.
2. Facebook Account block hone se aapko fir dubara se apne dosto ko friend requests send karni pad sakte hai.
3. Facebook Account block hone se aapke sabhi massages delete ho jate hai.
4. Facebook account block hone se Facebook par uploaded photos delete ho jati hai.

Facebook Par Sent Friends Requests Ko Kaise Dekhe Aur Cancel Kare :

Facebook privacy ke according Facebook par jab aap jyada friends requests send karte hai aur jab friend requests accept nhi ki jati hai tab aapka Facebook account blok ho sakta hai aur Facebook account ko block hone se bachane ke liye aapko un friends requests ko cancle karna hota hai.
Step 1 :- sabse pahle apne Facebook account me login Kare ydi pahle se aapka Facebook account logined hai to thik hai.
Step 2 :- Facebook account login karne ke baad aapko link par click karna hai 
Step 3 :- Link par click karne ke baad jab page open hoga to usme aapke pass jinti friends requests hongi vo aapko dikh jayengi. Aur aapne jitni bhi friends requests sent ki hai usko dekhne ke liye aapko View Sent Requests par click karna hai.


Step 4 :- jaise hi aap View Sent Requests par click karenge aapke samne sabhi sents requests aa jayengi aur aap jis friends requests ko cancel karna chahte hai kar sakte hai.

Ummid hai aapko yah Facebook ki jankari pasand aayi hogi agar aapko koi smsya ho rhi hai to comments karke hame bataye.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Aapke Mobile phone par daily minimum 4 - 5 yese call aati hai jinke owner ka name aapko pata nhi hota hai aur na nhi uski location aur daily minimum 2-4 missed call bhi aati hai aur ham yah sochte hai ki ye kiska number hoga aur ye call kaha se aayi hogi etc. Yese bahut se questions hamare mind me aate to hai lekin inka solutions kuch nhi milta hai. Kuch years pahle mobile number ka name , location aur address pata karna bahut muskil kaam hota tha
 but aaj har koi ghar baithe kisi bhi mobile number ka name , location aur address pata kar sakte hai. Vo bhi bina kisi charge me. Aaj kisi bhi mobile number ka name, location aur address pata karne ke bahut sare tools hai for example :- Online mobile number tracking website , apps aur software bhi jinki madad se phone number ke owner ka name , address aur location trace kar sakte hai. Mostly time hamare mobile par yese logo ki call aati hai Jo hame disturb karte hai aur kai bar yese phone call se problems bhi create ho jati hai aur us problems ko solve karne me hamre time aur paise ( money ) dono spend hote hai.  Jyadatr fake call se girls ( females ) ko problems hoti hai yesa tab hota hai jab number kisi yese ko pata chal jata hai Jo aapko paresan karna chahta hai aur number pata hone ke baad yh presani ( problems ) ka karan ( reason ) ban jate hai. Aur kai bar hamare friends new mobile number lekar fake name se paresan karte haiAur in sabhi problems ka sirf ek solutions hai aur vo hai unka naam , address aur location pata karna aur mobile number ka name , location , address pata karke ham unke bare me details nilal sakte hai ki iske piche kaun ho sakta hai. Kyuki iske piche mostly time wahi hote hai jinko ham jante hai ya vo hame jante hai.


Important Tips About Mobile Number : 

Aap log Airtel , Aircel , idea , Vodafone , uninor etc. Ki sim cards use karte honge aur yadi aap apne hi kisi number se customer care ke pass call karke apne number ke owner ke name ka 1st word janana chahte hai to aapko wah bhi nhi bataya ja sakta hai to aap kisi bhi number ki details customer care se pata nhi kar sakte hai. Yesa isliye hota hai kyuki iske piche gourmet low hai aur is low ke according sabhi sim providers company ko chalna padta hai.  Aaj kal world me mostly peoples online service ka use karte hai For Example : Facebook , WhatsApp Email Etc. Jinke dwara kisi ki bhi detail ko nikala ja sakte hai. Aur aaj kal sim cards providers company ne kuch details ko public kar rakha hai Jo sabke liye bahut achcha hai jisse aap kisi bhi mobile number ke owner ka name , address aur location find out kar sakte hai. Aur in sabhi jankari ko nikalne ke liye bahut se online sites , apps aur tools hai. Jinke bare me mai aapko batane wala hu.

Mobile Number Ki Details Kaise Find Out Kare.

Ab mai aapko bataunga ki aap kaise kisi bhi number ki details nikal sakte hai. In details me aapko Mobile Owner ka name , location , Address milega.

By TrueCaller Mobile App : 

True caller mobile app pure world me famous hai jiska use mobile owner ka name , location aur address find out karne ke liye kiya jata hai . kisi bhi mobile number ke owner ka name , location , address find out karne ke liye use kiya jata hai. Yadi aap kisi bhi mobile number ki details find out karna chahte hai to aapke mobile me yah app jarur hona chahiye. Agar. Nhi hai to Google playstore par jaye aur waha se TrueCaller App Download Kare.
2. True Caller App Download karne ke baad True Caller Mobile App ko open Kare.

3. Ab search box me us mobile number ko Enter Kare aap his mobile number ki location , address aur owner name pata karna chahte hai.
4. Mobile number enter karne me baad us mobile number ko search Kare.
5. Ab Jo bhi us mobile number ka use karta hoga uska naam , location aur address aapke samne aa jayegi.
6. Jiska Name search karne par milta hai aapko us name par click karna hai.
Ab aapko usme us sim users ki sari details dikhi degi par uska na to pin code dikhi dega aur na hi current location.

By True Caller Website : 

True Caller ki website se kisi bhi mobile number ki details nikalna bahut hi easy ho gya hai. Truecaller app aur website se kisi bhi number ki details ko nikalne ka koi paisa nhi lagta hai. Kisi bhi mobile number ki name , location aur details nikalne ke liye niche diye gye steps ko follow Kare.
Step 1 :- sabse pahle TrueCaller ki website par jaye. True caller ki website par Jane ke liye Click Kare.
Step 2 :- TrueCaller website open hone par usme us mobile number ki country ko select Kare aur fir search box me mobile number enter Kare.
Step 3 :- jaise hi aap us number ko search karenge us mobile number ki puri details aapke samne aa jayegi.


By Facebook :- 

Facebook ek social site hai Jo India me hi nhi balki pure world me famous hai aur aaj kal sab log Facebook se Jude huye hai aur Facebook ka use karke ham kisi ki puri details nikal sakte hai. Kyuki sab log Facebook account par apna photo jarur lagate hai aur apni details bhi add karte hai aur jis mobile number se call aayi hoti hai uska use karke ham details ko find out kar sakte hai.
Step 1 :- Sabse pahle apna Facebook account ko login Kare. Agar pahle se login hai to koi baat nhi.
Step 2 :- ab Facebook me login karne me baad upar Jo search box open hota hai usme mobile number enter Kare aur fir search Kare.
Step 3 :- Jo profile photo aur name aata hai us name ya photo par click karke unke bare me sari details pata kar sakte hai.
Dosto ab aapko pata chal hi gya hoga ki kisi bhi mobile number ka naam , address aur location kaise pata Kare. Is post ko apne dosto ke sath jarur share Kare taki unko is jankari ke bare me pata chale. Agar aapko kisi ke mobile number ki details pata karne me ko problems ho rahi hai to comments Kare.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.

whatsapp ko kaise hack kar sakte hai ? kya aapne kabhi yah socha hai ki whatsapp ko kaise hack kar sakte hai ? . Aaj mai aapke sath yesi trick share karne wala hu jiski madad se aap kisi ka whatsapp asani se hackkar sakte hai. waise to whatsapp ko hack karna bahut kahin kaam hai but aaj yah sab bahut asan ho gya hai halaki whatsapp ko puri tarah hack kar pana bahut muskil hai but kisi ke whatsapp chtas ko read karna bahut easy ho gya hai. agar aapinternet par yah search karenge ki whatsapp kaise hack kare to aapko internet par bahut se trick milengi jisme se 99% working nhi hoti hai aurjo working hoti hai vo bahut hard hoti hai ya fir unko mobile se nhi balki laptop ya computer se karna hota hai.
lekin aaj mai aapke sath yesi trick share karne ja raha hu jiski madad se aap apne smart mobile phone se hi kisi ke whatsapp chats ko read kar sakte hai.


WhatsApp Hack Karne Ke Liye Kin - 2 Chizo Ki Jarurat Hai .

1. Whatsapp hacking ke liye aapke ke pass smart android phone hona chahiye.
2. Apka smart android mobile phone OS Version v4.1 ya isse jyada hona chahiye.
3. Apko jiska whatsapp chats ko read karna uska mobile phone aapke hath me kam se kam 1 minutes ke liye hona chihiye.
4. Aapke smart android mobile phone me WhatsScan For Whatsapp Web naam ka tool hona chahiye.
5. Agar aapke phone me yah tool nhi hai to aap ise  google play store se download kar sakte hai.
Click Here To Download
6. Apke phone me internet hona chahiye.


Mobile WhatsApp SPY Tool Ka Use Kaise Kare.

kisi ka bhi whatsapp hack karne ke liye aapke phone me yah tool hona hi chahiye . agar yah nhihai to aap kisi ka whatsapp hack nhi kar sakte hai. kisi ka whatsapp hack karne ke liye is tool ke sath -2 uska phone bhi aapke pass 1 minutes ke liye hona chahiye. is tool i madad se aap jiska whatsappp hack karte hai aap uski chating ko live dekh sakte hai.

Kisi Ka WhatsApp Kaise Hack Kare. Apne Smart Phone Se. 

Step 1. sabse pahle apne smart mobile me whatscan app apne mobile me download karke install kare aur fir usko open kare. jab aap app ko open karenge to usme aapko bahut sari language ke option milenge usme aapko English select karna hai. agar aap kisi aur language ko select karna chahte hai to aap kar sakte hai. 


Step 2. language select karne ke baad aapko whtasscan app me ek QR Code dikhega. us QR Code ko uske phone se scane karna haijiska aap whatsapp hack karna chahte hai. 
Step 3. aap jiska whatsapp hack karna chahte hai uska whtasapp open karke is qr code ko scane kare . qr code scane karne ke ke liye aapko whtasapp app open karna hai aur usme jo 3 dot hota hai uspe click karna hai. aur fir whatsapp web par click kare aur fir qr code ko scan kare.
Step 4. code ko scane karte hai uska whatsapp chats aapke smart android phone me show hone lagenge. ab aap uske whatsapp ke sath kuch bhi kar sakte hai aur kisi ke massage ka reply bhi kar sakte hai.


Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.

Hello Friends , Aapko Mai ye bataunaga ki Jo aapka android phone hai us me hidden setting ko unhide kaise krte hai..
Aaj kal bahut si android phone company android phone ki settings ko hide krke rakgti Hai kyuki company un important settings ke bare me kisi ko nhi batati hai. En sab setting ko unhide krne ke baad aapka phone aur Bhi smart ho jayega.
In sab setting me bahut sare aapko options diye jayenge jisse aapka sasta sa phone bhi kisi bhi smart phone ko chhota bna shkta hai.

Mobile Ki Hidden Settings Ko unhide Krne Se Aapko Kya Fayda hota hai. :- 


• sbse phla aapka phone ka look bahut hi better ho jaata hai. Jisse aapka phone kaam hang hota hai.
• aapka phone kabhi bhi hang nhi ho shkta hai aur hang hone ka koi bhi chance nhi hai.
• apke phone ak sste phone jaisa nhi dikhta hai.
• apka phone hit nhi ho shkta hai.
• apke phone me bahut sari new settings bhi aa jati hai aur eske sath sath aapko bahut sare new options bhi milte hai.
• esse aap apne phone ka CPU bhi dekh shkte hai.

• is setting se aap kisi bhi WiFi ki details pata kr shkte hai.
• apne phone ka show touches bhi on kr shkte hai. Jo only setting on krne par hi hota hai.
• esko on aur of krna bahut hi easy hota hai.
• ye setting new phones me bhi nhi hoti hai.
• 

Mobile Ki Hidden Setting Ko Unhide Kaise Krte Hai step By Step Guide Hindi Me.

Step 1:- sbse phle aapko apna phone on krna hai aur setting ke options par selecte krna hai.

Step 2:- setting ke options par selecte krne ke baad aapko about phone par selecte krna hai. Jaise ki aap niche image me dekh shkte hai.

Step 3:- ab about phone ke options par selecte krne ke baad aapko custom build version par aapko click krna hai. Jaisa ki Aap image me dekh shkte hai.


Step 4 :- ab aapko 5 se 6 times custom build version par click krna hai. Click krne ke baad aapke phone ke display par show kr dega ki you are a deloper.
Ab aapke setting unhide ho gyi hai.
Ab aap back hoker dekh shkte hai.



To vo yhi trick hai Jo har ek mobile company is features ko hide karke rakhti hai.
Agar aapko koi problems hai to comments kre mai aapke comments ka answer comments ke dwara diya jayega.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Hello Friends,
Kya aap apne gmail account ko safe rakhna chahte hai ? Kya aap apne gmail account ko secure karna chahte hai ? Kya aap apne gmail account ke mail ko safe rakhna chahte hai ? Kya aap apne gmail account par two step verification enable karna chahte hai ? Agar ha to is post ko dhyan se read kare because mai aapko in sabhi questions ka answer is post me dene wala hu.

Aaj kal bahut se yese log hai jinke liye gmail account bahut hi important hota hai kyuki gmail account par unki sabhi information , social sites account Aur bank account Aur bhi bahut kuch hota hai Aur unko hamesa yahi dar rahta hai ki kahi mera gmail account hack na ho jaye . Aur bahut se log yese hote hai jinke gmail account ka password kai logo ko pata chal jata hai jisse ki unke gmail account ke hack hone ka hamesa bahut dar rahta hai.
Lekin unko tention lene ki koi Jarurat nhi hai kyuki aaj mai aapko yesi trick batane ja raha hu jisse ki aapka gmail account koi bhi hack nhi kar sakta hai agar kisi ko aapke gmail account ka password bhi pata hai to vo fir bhi aapke gmail account ka password hack nhi kar skta hai.
Aapke gmail account ko safe rakhne wali trick ka naam hai two step verification Aur jiska matlab saf hai ki jab bhi aapka gmail account koi login karega us time aapke mobile number par ek OTP ( One Time Password ) ek number aayega jiske madad se aap ap apne gmail account ko login kar skte hai.

Gmail Account Par Two Step Verification Enable Karne Se Kya Fayda Hai

• Gmail Account par two step verification enable Karne se sabse bada Fayda yah hota hai ki aapke gmail account ke kisi bhi details ko koi nhi dekh skta hai.
• Gmail Account par two step verification enable Karne se aapke account se related koi bhi details koi nhi dekh sakta hai.
• Gmail account par two step verification enable Karne se aapka gmail account secure rahega.
• Gmail Account par two step verification enable Karne se aapke gmail account ko koi bhi hack nhi kar sakta hai.

Google Two Step Verification Ke Kya Features Hai

Google two step verification ke bahut se features hai lekin mai aapko important features ke bare me bata raha hu 
• Aapka Gmail Account ki koi bhi mail ko koi bhi nhi dekh sakta hai.
• Google Par two step verification enable Karne se aapka gmail account secure rahega.
• Google par two step verification enable Karne ke aapka koi gmail account hack nhi kar sakta hai.
• Agr kisi ko aapka gmail account Aur uska password pata hai to bhi wah aapka gmail account open nhi kar sakta hai kyuki gmail I'd Aur password enter Karne ke baad aapke mobile number par otp code aata hai jiske madad se gmail account ko login kiya ja skta hai.

Google Gmail Par Two Step Verification Kaise Enable Kare

Ab mai aap sabhi ko bataunga ki aap kaise apne gmail account ko hacker se bachne ke liye Aur apne gmail account ko secure Karne ke liye kaise apne gmail account par two step verification enable kar sakte hai.
Step 1 :- sabse pahle apne gmail account ko login kare Aur fir right side me Jo aapke gmail account ka image aata hai uspar click kare.

Fir ek popup page open hoga jisme aapko My Account par click kare.
Step 2 :- My Account par click Karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko Signing in to Google par click kare.
Step 3 :- signing in to Google par click Karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko Two Step Verification ke samne click karna hai.
Two Step Verification ke samne click Karne ke bad fir ek new page open hoga jiseme aapko Get Started par click karna Hai.

Step 4 :-  get started par click Karne ke baad fir ek new page open hoga jisme aapko Text Massage Ya Call Select Karna hai Aur fir select Karne ke baad next par click kare.

Step 5 :-  Next par click Karne ke baad aapke mobile number par ek OTP code aayega Aur Jo new page open hua hai usme aapko code ko enter karna hai Aur fir next par click karna Hai.
Step 6 :- Next par click Karne ke baad ek new page open hoga jisme aapko Turn On par click karna hai.
Turn on par click Karne ke baad aapke gmail account par two step verification on ho gya hai . jisse aapka gmail account koi bhi hack nhi kar sakta hai.
Agar aapko yah post achchi lagi to is post ko jarur share kare.
Agar aapko kisi bhi type ki koi problems hai to comment kare.

Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.

Hello Friends , Aaj Mai aapko Bataunga Ki aap Apne Android phone Se kaise apne computer me internet use kr shkte hai.
Aaj kal agar dekh jaye to India me bahut logo ke pass Computer ya laptop to hai hi. Aur aaj kal to android phone rkhna ak aam baat ho gyi Hai. Kyuki aaj kal har koi ke pass android phone hai .
Agar apne aaspas dekha jaye to 10 me se 7-8  logo ke pass Android phone hai.
But jin logo ke pass Android phone hai computer hai aur Internet data bhi hai. Aur vo log chahte hai ki Bina Datacard liye hi apne computer Aur Laptop me internet CHala shke. Magar vo nhi chala pate hai kyuki unke pass to datacard nhi hai. So aaj mai aapki esi problem ko solve krne ke liye ye post kr RHA hu jisse aap apne Android phone se apne computer Aur Laptop Me Internet Chala shkte hai.

Android Phone Se Computer Me Internet Chalane Se Kya Fayda Hai...

1. Sbse phle aapko ye fayda hai ki aapko datacard nhi Lena Pdega.
2. Aap jab bhi chahe Apne Android phone me internet Data Dlwake Apne Computer Me Internet Use kr shkte hai.
3. Esse aap jab bhi chahe Apne Computer Me Internet Use kr shkte hai.
4. Esse aapke phone Me Koi Bhi Problem Nhi Hogi.

Android Phone Se Computer Me Internet Chlane Se Kya Loss Hai.

1. Esme Aapko Koi bhi risk nhi Hoga.
2. Internet Data Kuchh Jldi Hi Khatam Ho shkta Hai.
3. Esme Aapko Ak Data cable Lena Hoga.

Android Phone Se Computer Me Internet Use Krne Ke Liya Kya-Kya Chahiye.

1. Sbse phle aapko Ak Data cable Hona Chahiye.
2. Aapke Pass Ak Android Phone Hona Chahiye.
3. Android Phone Me Internet Data bhi hona Chahiye.
4. Aapke Pass Ak Computer Bhi Hona Chahiye.
5. Aapko Apne Phone Ki Setting Ke Baare Me Thodi Si Knowledge Hona Chahiye.

Android Phone Se Computer Me Internet Kaise Use Kre.

Step 1 :- sbse phle aapko Apne Android phone me internet data Dalwana hoga 
Agar internet data phle Se hi hai to esse bhi ho jayega.
Step 2 :- ab apne Android Phone Me Data cable Lagaye.
Step 3 :- ab data cable ko apne computer se connect krke apne mobile ka data on kijiye.
Step 4 :- ab aapko apne phone Ki Setting Me jaana hai.
Setting>More>Tethering & Portable > USB Tethering Ko On Krna Hai.

Step 5 :- Ab aap Apne apne computer ke Notification Center Me Jake Dekhe Aapka Computer Internet Se Connect Ho RHA Hoga. Aur kuchh Hi Time Baad Connected Ho Jayega.
Step 6 :- ab aap apne computer ke Browser Me Jake Jo Bhi Krna Chahte Hai. Kr Shkte Hai.

Agar aapko ye Post Pasand Aayi Hai To Es Post Ko Apne Friends Aur Social Site Pe Share Kre.
Agar aapko Koi Problem Hai To 
Comment Kre . Ham Aapki Problem Ko Solve Krenge.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Hello Friends ,
Aaj mai aapko bataunga ki kaise aap apne dosto ko stylish massage type Karke send kar sakte hai.
 Aagr aap WhatsApp use karte hai to aapne kabhi ka kabhi yah jarur dekha hoga ki kabhi kabhi jab aapka koi dost ya koi Aur jab aapko massage send karta hai to uska text style change rahta hai hai Aur is trick ke bare me bahut se logo ne mujhse WhatsApp par pucha hai ki WhatsApp par Jo text style rahta hai usko kaise change karte hai to us time mujhe ya trick nhi aati thi lekin Maine kai bar is trick ko try kiya aur fir mujhe last me sab kuch samajh me aa gya ki WhatsApp par text style kaise change karte hai

WhatsApp Text Style Ko Change Karne Se Kya Fayda Hai

Agar aap apne dosto ko massages send karte samay is trick ka use karte hai to aapke sabhi dost Aur aap jis bhi WhatsApp groups ke members hai uske members aapse yahi puchenge Ki aap is trick ka use kaise karte hai. To Chahiye mai aapko batata hu ki aap WhatsApp par massages send karte samay WhatsApp ka text style kaise change kar sakte hai. Lekin usse pahle mai aapko uske fayde ke bare ma batana chahta hu.
• Agar Aap Is trick ko read Karke apne dosto ke sath Aur groups me stylish massages karte hai to aapke dost jarur is trick ke bare me puchenge.
• Agar Aap WhatsApp par stylish massages likh kar send karte hai to aap kisi ko aakarshit kar kar sakte hai.
• Man lijiye ki aap koi stories apne dosto ke sath Aur groups me share karna chahte hai Aur usme kisi word ya line ko Alag dhang se dikhana chahte hai to aap is trick ka use karke kar sakte hai.
• agar aap kisi aap ko share Karke Paise Kamaye hai to us app ke features ko sbke samne alag dhag se dikhana chahte hai to aap is trick ka use kar sakte hai.
In sabhi faydo ke sath - sath Aur bhi bahut se fayde hai jinke bare me aapko pata hi hoga agar nhi pata hai to is trick ka use Karke pata kar sakte hai.

WhatsApp Text Style Ko Kaise Change Kare

Agr aap WhatsApp ke old user hai to aapko yah to jarur pata hoga ki WhatsApp massage ka text style Kaise change karte hai agar nhi pata hai to mai aapko niche batane ja raha hu.

1. Italic Text Massage

Bahut se logo ko italic language style bahut achchi lagti hai Aur vo hamesa is type ki language ka use Karne ki kosis karte hai to ab mai aapko bataunga ki aap kaise italic text style ke massage apne dosto Aur groups me send kar sakte hai .

Jab aap massage type karte samay kisi words ya line ko italic language me change karna chahte hai to aapko is type se text style change karna hoga.
_Your Massage Here_ ( Kisi bhi word ya line ke starting me ( _ ) Aur fir last me bhi ( _ ) Lagane se aapka massage italic ho jata hai.
For Example :- _Self Public Help_

2. Type Bold Text Massage

Agar aap WhatsApp massage me kisi words ya lines ko bold karna chahte hai to Us Words Ya line ke last me Aur starting me ( * ) ka use kare.
For Example :- *Self Public Help*

3. Text Cross Massage Style

Agar aap kisi massage ki line ya words par cross lagana chahte hai to aapko us line ya words ke last Aur starting me ( ~ ) ka use kare.
For Example :- ~Self Public Help~

4. Use Different Text Style

Agar aap is trick ka use Karna chahte hai Aur aapko jab kisi massage ka style Change karna hai to us line ya words ke starting Aur last me ( `  ) ka use kare but ye 3 time hona chahiye bina space ke words ya line ke starting Aur last me.
Agar aapko yah post achchi lagi to apne dosto ke sath share karna na bhule.
Agar koi problems ho to comments jarur Kare.

Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Hello Friends ,
Aaj mai aapko yah bataunga ki aap kaise single AdSense account se multiple websites ( blogs ) par ads show Karke Paise earn kar skte hai ?
AdSense privacy & policy ke according ham ek se adhik account nhi bana sakte hai Aur agar ham yesa Karne ki kosis bhi karte hai to Google AdSense hamara AdSense account block kar sakta hai Aur jiske Karna sayad ham future me bhi AdSense account ka use nhi kar sakte hai. Lekin Google hame is chiz ki aagya deta hai ki ham ek se jyada blogs Banakr use kar sakte hai . Lekin AdSense ke ads apne sabhi sites me Lagane ke liye aap ek hi AdSense account ka use Karke apne sabhi websites ya blogs me AdSense ke ads laga sakte hai. Lekin AdSense privacy Aur policy ke according agar ham apne 2 ya 2 se adhik sites par ads dikhana chahte hai to uski categories alag - alag honi chahiye agar yesa nhi hai to aap iska use nhi kar sakte hai.
Also Read
• Blog Ke Sabhi Posts Me Ek Sath AdSense Ke Ads Kaise Lagaye.
• AdSense Ke Ads Banakr Apne Website Ya Blog Me Kaise Lagaye.

AdSense Par Ek Se Jyada Sites Ads Add Karne ke Liye Niche Ke Sabhi Points Ko Follow Karna Bahut Jaruri Hai

• AdSense Par ek se jyada sites add Karne ke liye aapke new website ya blog par kam se kam daily 400+ visitors hone Chahiye.
• AdSense par Aap jis new site ya blog ko add karna chahte hai usme koi bhi copyright posts nhi honi chahiye.
• aapke sabhi sites ya blogs par alag - alag tarah ki Jankari honi chahiye
• aapke sabhi sites par alag - alag language ka hona jaruri nhi hai but aapke sabhi sites ya blogs par alag - alag Jankari ka hona bahut jaruri hai.
• aap ek hi sites ke sabhi post ko alag language me translate Karke Aur new sites par upload Karke AdSense me nhi add kar sakte hai.
• aapke new sites par kisi bhi galat words ka use nhi hona chahiye agar yesa hota hai to isme aapka AdSense account block kiya ja sakta hai.
• kisi bhi sites ka koi bhi words copy nhi hona chahiye.
• kisi bhi sites ke bare me kuch galat baat nhi honi chahiye.

Single AdSense Account Par Multiple Websites Add Karne Se Kya Fayda Hota Hai.

• Single AdSense account par multiple websites ya blogs add Karne par aapko new AdSense account banane ki koi jarurt Nhi hoti hai.
• Single AdSense account par multiple websites ya blogs add Karne par aapko bar - bar AdSense se approved ki jarurt Nhi hoti hai.
• Single AdSense account multiple websites ya blogs add Karne se aapke Sabhi Paise ek hi account me rahte hai Aur ek hi account ko manage karna bahut aasan hota hai.
• Aap asani se adhik Paise earn kar sakte hai.

Single AdSense Account Me Multiple Websites Kaise Add Kare.

Agar aap apne AdSense account me apne sabhi sites ko add karna chahte hai to niche diya gye sabhi steps ko dhyan se read Kare Aur fir follow kare.
1. Sabse pahle upr setting ke icon par click Kare.
2. Ab ek new popup page open hoga usme setting oar click kare.
3. Left side me site management par click kare.
4. Ab Jo bhi page open hoga usme apne blog ka URL add kare Aur fir 
5. Add site par click kare .
Congratulation , ab aapke AdSense account me aapki new sites add ho chuki hai.
Agar aapko yah post achchi lagi to is post ko share kare.
Agar aapko site add Karne me koi problems hai to aap comments Karke puch sakte hai.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Hello Friends,
Kya aap apne Facebook page par adhik fans pana chahte hai ?, kya aap apne Facebook page par adhik likes pana chahte hai ? , kya aap apne blog ki rank increase karna chahte hai ? Kya aap apne Facebook page par bina Facebook friends ko invites kiye likes Lana chahte hai to is post ko dhyan se read Kare kyuki ab mai aapko bataunga ki aap kaise apne Facebook page ko apne blog par add kar sakte hai.

Blog par Facebook page add Karne se aap apne Facebook page par Aur Apne blog par bahut adhik fans aasani se pa sakte hai Aur is post me mai aapko bataunga ki apne blog me Facebook like page apne blog me kaise lagate hai lekin apne blog me Facebook page Lagane se pahle uske fayde ke bare me janana bahut jaruri hai.

Blog Me Facebook Page Lagane Ke Kya - Kya Fayde Hai.

• Blog par Facebook page Lagane se aap apne Facebook page par bahut adhik likes pa sakte hai.
• Blog par apna Facebook page Lagane se aap easily apne Facebook page par Aur Apne blog par asani se adhik fans pa sakte hai.
• Facebook page par aap bina apne friends ko invites kiye apne Facebook par bahut likes pa sakte hai.
• Facebook page par like pane ke sath - sath aap apne blog par rank bhi pa sakte hai.
• Facebook page ko blog me Lagane par agr koi aapne blog ko pasand karta hai to aapke Facebook page ko vo jarur like karega.
Also Read This Articles

Blog Me Facebook Page Kaise Set ( Lagaye ) Kare.

Ab mai aapko batane ja raha hu ki aap apne blog me Facebook like box kaise laga sakte hai Aur aapko yah bhi pata chal gya hoga ki blog me Facebook page like box Lagane se kya - kya Fayda hota hai. Agar aap apne blog me Facebook like page Lagana chahte hai to niche ke sabhi steps ko read Karke dhyan se follow Kare.
Step 1 :- sabse pahle apne blogger account ko login Kare Aur appko jis bhi blog me Facebook like page lagana chahte hai usko open Kare.
Step 2 :- apne blog ko select Karne ke baad layout me jaye Aur fir aapko jaha par Facebook like page add karna chahte hai waha par add a gadget par click Kare.

Step 3 :- Add A Gadget par click Karna ke baad HTML/java script ko select Kare.
Ab ek box open hoga usme niche diya gye code ko pest Kare .

<div id="fb-root"></div>
<script>(function(d, s, id) {
  var js, fjs = d.getElementsByTagName(s)[0];
  if (d.getElementById(id)) return;
  js = d.createElement(s); js.id = id;
  js.src = "//connect.facebook.net/en_GB/sdk.js#xfbml=1&version=v2.9";
  fjs.parentNode.insertBefore(js, fjs);
}(document, 'script', 'facebook-jssdk'));</script>
<div class="fb-page" data-href="https://www.facebook.com/DGTLPublicHelp/" data-small-header="false" data-adapt-container-width="true" data-hide-cover="true" data-show-facepile="false"><blockquote cite="https://www.facebook.com/DGTLPublicHelp/" class="fb-xfbml-parse-ignore"><a href="https://www.facebook.com/DGTLPublicHelp/"></a></blockquote></div>

Usme aapko Jo bhi title dena hai de sakte hai. Jaise ki Maine diya hai niche image ko dekhe.
Step 4 :- Code ko pest Karne ke baad Aur title dene ke baad mere Facebook page username ki jagah par apne Facebook page ka username set Kare.
Aur fir last me save par click Kare.
Ab aapka Facebook page aapke blog me add ho chuka hai .
Agar aap apne Facebook account ya Facebook page ka username change karna chahte hai to niche ki post ko read kare.
• Facebook Aur Facebook Page Ka Username Kaise Change Kare.

Agar aapko yah post achchi lagi to is post ko jarur share kare Aur fir comments karna na bhule.



Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.
Hello Friends ,
Aaj mai aapko ek yesi AdSense ki trick batane ja raha hu jisse aap apne blog ki Sabhi post me AdSense ads ek bar me laga sakte hai Aur isme aapko jyada time bhi nhi lagta hai.
AdSense approved hone ke baad ham easily apne blog me ads laga lete hai layout ki madad se lekin jab ham wahi ads blog ki post me lagana chahte hai to bahut time lagta hai kyuki sabse pahle ham log yah sochte hai ki AdSense ke ads kaha par Lagaye Aur kaha par nhi Aur bahut se log AdSense ke ads apne blog par galat jagah lagate hai jiske Karna unki earning na ke barabar hoti hai Aur fir is Karna se unka dhyan dhire - dhire blogging se hatne lagta hai lekin ab blogging se apna dhyan batane ki koi jarurt Nhi hai kyuki aaj mai aapko yesi trick batane ja raha hu jiski madad se aap ek hi bar me Aur vo bhi 5 minutes me AdSense ke ads apne blog ki sabhi post me Aur yesi jagah add ho jayega Jo aapke AdSense ads ke liye sahi rahega.
Pichle post me Maine aapko bataya tha ki AdSense ads Banakr Apne Blog Me Kaise Lagaye.
Also Read This Post
• Blogger Blog Me Custom Robots Header Tags Kaise Use Kare. Full Guide Hindi Me.
• Facebook Par Single Name Kaise Set Kare. Full Guide Hindi Me.
• Alexa Rank Kaise Increase Kare . With Very Low Traffic Of Your Blog.

Blogger Blog Ki Sabhi Posts Me Ek Sath AdSense Ads Lagane Se Kya Fayda Hai.

• Agar Aap AdSense ads Apne blog ki sabhi post me daily lagate hai to isme bahut time lagta hai.
• Agar Aap AdSense Ads Aapne blog ki sabhi post me ek sath na lagar daily new post me lagate hai to ads Apne sahi jagah par nhi lag pata hai.
• AdSense Ads sahi jagah par nhi Lagane se AdSense earning bahut kam ho jati hai.
• AdSense Ads Sahi Jagah par Lagane se aapki AdSense earning increase hoti hai.
• AdSense ads ek sath Apne blog me Lagane se aapka bahut time bachta hai.
• Agar Aap AdSense ads daily lagate hai to kabhi kabhi galat jagah Lagane se problems bhi ho sakti hai.
• Agr aap daily apne post me AdSense ads lagate hai Aur kisi Karna se aap apne blog se AdSense ads ko remove karna chahte hai to isme bahut problems ho sakti hai.
• Agar aap mere bataye gye trick ke according Apne blog me AdSense ads lagate hai to aap jab bhi chahe apne blog or post se AdSense ads ke code ko aasani se remove kar sakte hai.

AdSense Ads Ko Blog Ke Sabhi Posts Me Ek Sath Kaise Lagaye ( Set Kare )

Ab mai aapko bataunga ki AdSense ads ko blog ke sabhi posts me ek Sath kaise Lagaye . agar aapne upar ke sabhi point ko read kar kiya hai to ab niche ke sabhi steps ko dhyan se follow Kare.
Step 1 :- sabse pahle apne blogger account ko login Kare Aur fir theme par click Kare. 
Ab apne theme ka backup download Kare kyuki agar koi problems hoti hai to usko recover kiya ja sake.
Step 2 :- Ab EDIT HTML par click Kare Aur fir niche dige gye code ko HTML me find Kare.
<data:post.body/>
Step 3 :- ab niche diye gaye code ko copy Kare Aur fir """" Apna AdSense Code Yaha Pest Kare """" ki jagah par Apna ads code pest Kare.
<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<div align="center">

Apna AdSense ads code yaha paste kare.

</div>
</b:if>
Step 4 :-   ab Jo code aapne find kiya tha uske upr ye upr wala code pest Kare Jo black box me hai. Aur fir save par click Kare.

Change Ads Placement Of Your Blogger

1. Agar aap AdSense ads ko post ke bich me nhi dikhana chahte hai Aur aap ads ko left ya right side me dikhana chahte hai to upar Jo black box me red colour me Center likha hai usme left ya right likhe . apne according change Kare.
2. Agar ads aapke blog me nhi show hota hai to Jo code aapne search kiya tha uske niche apne ads code ko pest Kare. 

Agar aapko yah post achchi lagi to is post ko share Kare Aur blog ko subscribe karna na bhulen.
Agar koi problems hai to comments jarur Kare.
Internet Ki jankari Hindi Me! Agar aapko Internet se sambandit koi bhi jankari chaiye ya koi Madad Chaiye to Is website pe mil jayegi.

Hello Friends,
Maine aapko apni pichle post me yah bataya tha ki AdSense Ke Liye Kab Apply Kare. Fast AdSense Approved Ke Liye. Agar aapne is post ko abhi tak read nhi kiya hai to is post ko read kar lijiye kyuki is post me o sab trick hai jisse aapka AdSense fast approved ho sakta hai Aur Maine bhi isi trick ka use kiya Aur mera AdSense 25 din me hi approved ho gya hai agar aapko is baat ka vishvash nhi hota hai to hamare blog ke domain age ko pata kar sakte hai Aur jisse aapko yah pata chalega ki yah trick 100% working hai . Aur aaj mai aapko yah bataunga ki AdSense ads Banakr usko apne blog par kaise add Kare Aur is website par published ki Jane wale aage ki post AdSense ke bare me hi hongi .
World me advertisements show Karne ke sabse adhik Paise dene wali site AdSense hai Aur iska approved pana bahut aasan hai agar aapne upar ki post ko read kiya kyuki usme bataya gya hai ki AdSense account fast approved Kaise paye Aur aaj mai aapko bataunga ki AdSense ke ads apne blog me kaise Lagaye.
AdSense world famous site hai aapne aaj tak jis bhi famous site ko dekha hoga usme AdSense Ke ads hi lage honge iska reason mai aapko niche dene ja raha hu.

AdSense Ke Ads Log Apne Website Me Kyu Lagate Hai 

Is heading ko read Karke aap direct kah sakte hai ki log apne blog me AdSense ke ads Paise Kamane ke liye lagate hai lekin mai aapse puchta hu ki Aur bhi websites hai Jo ads lagane ke Paise deti hai log un sites ke ads kyu Apne blog par nhi lagate hai.
• AdSense advertisements show karne ke sabse adhik Paise deta hai jabki Aur sites kam Paise deti hai.
• AdSense par alag - alag type ke ads Aur alag alag type ke ads mil jate Hai lekin Aur sites par nhi hote hai.
• AdSense sabse fast payment karta hai any site ke mukable .
• AdSense ke ads site ke loading speed par koi galat effect nhi dalte Hai.
• AdSense ke ads Lagane ke liye AdSense ke rule ko sabse pahle follow karna hota hai.

Kis Size Aur Kisi Type Ke Ads Lagakar Aap AdSense Se Adhik Paise Earn Kar Sakte Hai

Mostly new bloggers ko yah nhi pata hai ki apne blog me kis type ke ads lagakar AdSense se achche Paise Kamaye jaa sakte hai Aur new bloggers is rule ko follow na Karke apni AdSense se earning bahut kam kar dete hai Aur agr Aap AdSense se adhik Paise earn karna chahte hai to aapko ab mai bataunga ki kis type ke ads apne blogger blog me lagana Chahiye.

Responsive Ads Size 

Yah size apne blog me Lagane ke liye sabse best hai kyuki yah size automatic change ho sakti hai Aur aap is ads size ko apne blog me kahi par bhi laga sakte hai Jaise kisi pages ya post me ya fir aap isko sidebar me bhi laga sakte hai aapne aaj tak jitni bhi websites dekhi hongi usme AdSense ke responsive size ka use sabse jyada kiya gya hoga.

Ads Links 200/90


Blogging Karne walon ke liye yah size bhi bahut achchi hoti hai yah har post me change hota rahte hai isko kabhi bhi change Karne ki koi jarurt Nhi hoti hai Aur ye size ek link ki tarah kaam ( work ) karta hai. Aur ye blog me likhne ke according hota hai Jaise :- Create Free Blog , Download AdSense Application , Create Free Blog .......

Banner 600/300

Is size ke ads ka use mostly sab bloggers sidebar ke liye karte hai Aur is ads ka size bhi bada hota hai Aur isko easily apne blog me lagaya ja sakte hai Aur sabse adhik income isi ads size se milti hai kyuki mera AdSense 4 din pahle hi approved hua hai Aur sabse jyada income isi ads size se hui hai.
Blog se sabse adhik Paise Kamane ke liye yahi ads size sabse achchi hoti hai Aur sabse jyada income isi ads se milti hai.

AdSense Ads Banakr Apne Site Me Kaise Lagaye 

Ab mai aapko bataunga ki AdSense ads Banakr apne site me kaise Lagaye . AdSense approved hone ke baad sabse bada kaam yahi rahta hai ki ads kis size ka banaye Aur us ads ko apne blog me kaise Lagaye agar aap AdSense ads apne blog me lagana chahte hai to niche ke sabhi steps ko pahle read Kare Aur fir follow Kare.
Step 1 :- sabse pahle apne AdSense account ko login Kare Aur fir My Ads Par click Karke ad units me jaye.
Step 2 :- ab ad units me Jane ke baad upr new ad unit par click Kare.
Click Karne ke baad kuch is type ka page aapke samne aayega.
1. Sabse pahle apne ads ka name likhe isme aap koi bhi neme likh sakte hai .
2. Ab apne ads ka size select Kare Jaise ki Maine responsive ads size select kiya hai.
3. Ab ad type me bhi aap apne according select kar sakte hai lekin mai aapse yahi karunga ki aapko Text & Display Ads select Kare.
4. Apne ads ka color style Apne according select Kare.
Last me agar aapne custom channel banaye hai to use add Kare Aur fir save & get code par click Kare.
Step 3 :- save & get code par click Karne ke baad ek popup page open hoga Aur usme AdSense ka ek code hoga usko copy Kare .
Step 4 :- ab apne blogger account ko login Kare Aur fir layout me jaye
Layout me Jane ke baad aapko jaha par bhi apna ads show karvana hai waha par add A Gadget par click Kare.
Step 5 :- ab ek popup page open hoga Aur waha par aapko HTML/java script select Karke usme apna ads code pest Kare Jaise ki aapko niche dikhaya gya hai.

Aur fir code pest Karne ke baad save par click Kare.
Save par click Karne ke kuch time baad aapke website ( blog ) par ads show hone shuru ho jayenge.
Agar aapko yah post achchi lagi to share jarur Kare. Aur agar koi problems ho to comments Karke jarur puche.