Hello Friends,
Maine aapko apni pichle post me yah bataya tha ki AdSense Ke Liye Kab Apply Kare. Fast AdSense Approved Ke Liye. Agar aapne is post ko abhi tak read nhi kiya hai to is post ko read kar lijiye kyuki is post me o sab trick hai jisse aapka AdSense fast approved ho sakta hai Aur Maine bhi isi trick ka use kiya Aur mera AdSense 25 din me hi approved ho gya hai agar aapko is baat ka vishvash nhi hota hai to hamare blog ke domain age ko pata kar sakte hai Aur jisse aapko yah pata chalega ki yah trick 100% working hai . Aur aaj mai aapko yah bataunga ki AdSense ads Banakr usko apne blog par kaise add Kare Aur is website par published ki Jane wale aage ki post AdSense ke bare me hi hongi .
World me advertisements show Karne ke sabse adhik Paise dene wali site AdSense hai Aur iska approved pana bahut aasan hai agar aapne upar ki post ko read kiya kyuki usme bataya gya hai ki AdSense account fast approved Kaise paye Aur aaj mai aapko bataunga ki AdSense ke ads apne blog me kaise Lagaye.
AdSense world famous site hai aapne aaj tak jis bhi famous site ko dekha hoga usme AdSense Ke ads hi lage honge iska reason mai aapko niche dene ja raha hu.

AdSense Ke Ads Log Apne Website Me Kyu Lagate Hai 

Is heading ko read Karke aap direct kah sakte hai ki log apne blog me AdSense ke ads Paise Kamane ke liye lagate hai lekin mai aapse puchta hu ki Aur bhi websites hai Jo ads lagane ke Paise deti hai log un sites ke ads kyu Apne blog par nhi lagate hai.
• AdSense advertisements show karne ke sabse adhik Paise deta hai jabki Aur sites kam Paise deti hai.
• AdSense par alag - alag type ke ads Aur alag alag type ke ads mil jate Hai lekin Aur sites par nhi hote hai.
• AdSense sabse fast payment karta hai any site ke mukable .
• AdSense ke ads site ke loading speed par koi galat effect nhi dalte Hai.
• AdSense ke ads Lagane ke liye AdSense ke rule ko sabse pahle follow karna hota hai.

Kis Size Aur Kisi Type Ke Ads Lagakar Aap AdSense Se Adhik Paise Earn Kar Sakte Hai

Mostly new bloggers ko yah nhi pata hai ki apne blog me kis type ke ads lagakar AdSense se achche Paise Kamaye jaa sakte hai Aur new bloggers is rule ko follow na Karke apni AdSense se earning bahut kam kar dete hai Aur agr Aap AdSense se adhik Paise earn karna chahte hai to aapko ab mai bataunga ki kis type ke ads apne blogger blog me lagana Chahiye.

Responsive Ads Size 

Yah size apne blog me Lagane ke liye sabse best hai kyuki yah size automatic change ho sakti hai Aur aap is ads size ko apne blog me kahi par bhi laga sakte hai Jaise kisi pages ya post me ya fir aap isko sidebar me bhi laga sakte hai aapne aaj tak jitni bhi websites dekhi hongi usme AdSense ke responsive size ka use sabse jyada kiya gya hoga.

Ads Links 200/90


Blogging Karne walon ke liye yah size bhi bahut achchi hoti hai yah har post me change hota rahte hai isko kabhi bhi change Karne ki koi jarurt Nhi hoti hai Aur ye size ek link ki tarah kaam ( work ) karta hai. Aur ye blog me likhne ke according hota hai Jaise :- Create Free Blog , Download AdSense Application , Create Free Blog .......

Banner 600/300

Is size ke ads ka use mostly sab bloggers sidebar ke liye karte hai Aur is ads ka size bhi bada hota hai Aur isko easily apne blog me lagaya ja sakte hai Aur sabse adhik income isi ads size se milti hai kyuki mera AdSense 4 din pahle hi approved hua hai Aur sabse jyada income isi ads size se hui hai.
Blog se sabse adhik Paise Kamane ke liye yahi ads size sabse achchi hoti hai Aur sabse jyada income isi ads se milti hai.

AdSense Ads Banakr Apne Site Me Kaise Lagaye 

Ab mai aapko bataunga ki AdSense ads Banakr apne site me kaise Lagaye . AdSense approved hone ke baad sabse bada kaam yahi rahta hai ki ads kis size ka banaye Aur us ads ko apne blog me kaise Lagaye agar aap AdSense ads apne blog me lagana chahte hai to niche ke sabhi steps ko pahle read Kare Aur fir follow Kare.
Step 1 :- sabse pahle apne AdSense account ko login Kare Aur fir My Ads Par click Karke ad units me jaye.
Step 2 :- ab ad units me Jane ke baad upr new ad unit par click Kare.
Click Karne ke baad kuch is type ka page aapke samne aayega.
1. Sabse pahle apne ads ka name likhe isme aap koi bhi neme likh sakte hai .
2. Ab apne ads ka size select Kare Jaise ki Maine responsive ads size select kiya hai.
3. Ab ad type me bhi aap apne according select kar sakte hai lekin mai aapse yahi karunga ki aapko Text & Display Ads select Kare.
4. Apne ads ka color style Apne according select Kare.
Last me agar aapne custom channel banaye hai to use add Kare Aur fir save & get code par click Kare.
Step 3 :- save & get code par click Karne ke baad ek popup page open hoga Aur usme AdSense ka ek code hoga usko copy Kare .
Step 4 :- ab apne blogger account ko login Kare Aur fir layout me jaye
Layout me Jane ke baad aapko jaha par bhi apna ads show karvana hai waha par add A Gadget par click Kare.
Step 5 :- ab ek popup page open hoga Aur waha par aapko HTML/java script select Karke usme apna ads code pest Kare Jaise ki aapko niche dikhaya gya hai.

Aur fir code pest Karne ke baad save par click Kare.
Save par click Karne ke kuch time baad aapke website ( blog ) par ads show hone shuru ho jayenge.
Agar aapko yah post achchi lagi to share jarur Kare. Aur agar koi problems ho to comments Karke jarur puche.

Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

0 comments: