Hello Friends , Aaj Mai aapko Bataunga Ki aap Apne Android phone Se kaise apne computer me internet use kr shkte hai.
Aaj kal agar dekh jaye to India me bahut logo ke pass Computer ya laptop to hai hi. Aur aaj kal to android phone rkhna ak aam baat ho gyi Hai. Kyuki aaj kal har koi ke pass android phone hai .
Agar apne aaspas dekha jaye to 10 me se 7-8  logo ke pass Android phone hai.
But jin logo ke pass Android phone hai computer hai aur Internet data bhi hai. Aur vo log chahte hai ki Bina Datacard liye hi apne computer Aur Laptop me internet CHala shke. Magar vo nhi chala pate hai kyuki unke pass to datacard nhi hai. So aaj mai aapki esi problem ko solve krne ke liye ye post kr RHA hu jisse aap apne Android phone se apne computer Aur Laptop Me Internet Chala shkte hai.

Android Phone Se Computer Me Internet Chalane Se Kya Fayda Hai...

1. Sbse phle aapko ye fayda hai ki aapko datacard nhi Lena Pdega.
2. Aap jab bhi chahe Apne Android phone me internet Data Dlwake Apne Computer Me Internet Use kr shkte hai.
3. Esse aap jab bhi chahe Apne Computer Me Internet Use kr shkte hai.
4. Esse aapke phone Me Koi Bhi Problem Nhi Hogi.

Android Phone Se Computer Me Internet Chlane Se Kya Loss Hai.

1. Esme Aapko Koi bhi risk nhi Hoga.
2. Internet Data Kuchh Jldi Hi Khatam Ho shkta Hai.
3. Esme Aapko Ak Data cable Lena Hoga.

Android Phone Se Computer Me Internet Use Krne Ke Liya Kya-Kya Chahiye.

1. Sbse phle aapko Ak Data cable Hona Chahiye.
2. Aapke Pass Ak Android Phone Hona Chahiye.
3. Android Phone Me Internet Data bhi hona Chahiye.
4. Aapke Pass Ak Computer Bhi Hona Chahiye.
5. Aapko Apne Phone Ki Setting Ke Baare Me Thodi Si Knowledge Hona Chahiye.

Android Phone Se Computer Me Internet Kaise Use Kre.

Step 1 :- sbse phle aapko Apne Android phone me internet data Dalwana hoga 
Agar internet data phle Se hi hai to esse bhi ho jayega.
Step 2 :- ab apne Android Phone Me Data cable Lagaye.
Step 3 :- ab data cable ko apne computer se connect krke apne mobile ka data on kijiye.
Step 4 :- ab aapko apne phone Ki Setting Me jaana hai.
Setting>More>Tethering & Portable > USB Tethering Ko On Krna Hai.

Step 5 :- Ab aap Apne apne computer ke Notification Center Me Jake Dekhe Aapka Computer Internet Se Connect Ho RHA Hoga. Aur kuchh Hi Time Baad Connected Ho Jayega.
Step 6 :- ab aap apne computer ke Browser Me Jake Jo Bhi Krna Chahte Hai. Kr Shkte Hai.

Agar aapko ye Post Pasand Aayi Hai To Es Post Ko Apne Friends Aur Social Site Pe Share Kre.
Agar aapko Koi Problem Hai To 
Comment Kre . Ham Aapki Problem Ko Solve Krenge.
Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

0 comments: