Aap log to Facebook use karte hi honge agar aap log Facebook use karte hai to yah post aapko jarur hi pasand aayegi kyuki mai aap sab ko aaj ek yesi trick batane wala hu jiski madad se aap yah dekh sakte hai ki aapne kis - kis ko Facebook par friend requests send ki hai. Or aapko yah bhi bataunga ki Facebook par sent requests ko cancel kaise Kare.

Jab koi Facebook par new hota hai to usko Facebook ke bare me jyada knowledge nhi hoti hai aur bhi bahut se yese log hai jinko Facebook ke bare me jyada knowledge nhi hai . aur Facebook ke bare me jab kisi ko knowledge nhi rahti hai to vo Facebook account create karke adhik se adhik friend requests send karta hai aur adhik friend requests send karne se Facebook account block bhi ho jata hai.


Facebook Par Sent Requests Ko Cancel Kyu Karna Chahiye :

Facebook privacy ke according Facebook par kewal unhi logo ko friend requests send kar sakte hai jinko aap jante hai but bahut se log ek hi bar me bahur sare Facebook users me pass friend requests send kar dete hai jisse bahut loss ho sakta hai.
1. Facebook par jyada friends requests send karne se aapko Facebook account block ho sakta hai.
2. Facebook Account block hone se aapko fir dubara se apne dosto ko friend requests send karni pad sakte hai.
3. Facebook Account block hone se aapke sabhi massages delete ho jate hai.
4. Facebook account block hone se Facebook par uploaded photos delete ho jati hai.

Facebook Par Sent Friends Requests Ko Kaise Dekhe Aur Cancel Kare :

Facebook privacy ke according Facebook par jab aap jyada friends requests send karte hai aur jab friend requests accept nhi ki jati hai tab aapka Facebook account blok ho sakta hai aur Facebook account ko block hone se bachane ke liye aapko un friends requests ko cancle karna hota hai.
Step 1 :- sabse pahle apne Facebook account me login Kare ydi pahle se aapka Facebook account logined hai to thik hai.
Step 2 :- Facebook account login karne ke baad aapko link par click karna hai 
Step 3 :- Link par click karne ke baad jab page open hoga to usme aapke pass jinti friends requests hongi vo aapko dikh jayengi. Aur aapne jitni bhi friends requests sent ki hai usko dekhne ke liye aapko View Sent Requests par click karna hai.


Step 4 :- jaise hi aap View Sent Requests par click karenge aapke samne sabhi sents requests aa jayengi aur aap jis friends requests ko cancel karna chahte hai kar sakte hai.

Ummid hai aapko yah Facebook ki jankari pasand aayi hogi agar aapko koi smsya ho rhi hai to comments karke hame bataye.
Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

0 comments: