Hello friends
Kya aap Facebook account par apna name single rakhna chahte hai ? Agar ha to is article ko dhyan se padhe kyuki aaj mai aapke sath ye knowledge share karunga ki aap kaise apne Facebook account par apna name single rakh sakte hai.
For Example :- mera naam Facebook par manoj Yadav hai Aur is trick se aap apna naam single kar sakte hai.
Manoj Yadav To Manoj ( Single Name )
Aapne yese bahut se logo ko dekha Hoga ki Facebook par unka name single hai Aur unko easily search kiya jaa sakta hai.
Kyuki Facebook par single name sabse alag hota hai Aur usko easily Facebook par find kiya jaa sakta hai.
Aaj kal sabhi log Facebook par single name use karna chahte hai kyuki log yah chahte hai to Facebook par unka name search Karne se unka name phle aaye Aur alag ho.
Agar aap bhi es trick ka use karna chahte hai to USSe pahle yah Jan lijiye ki Facebook par single name use karne ke kya - kya Fayda hote Hai

Facebook Par Single Name Use Karne Se Kya - Kya Fayda Hota Hai Aur Kya - Kya Nhi

• Agar aap Facebook par single name use karte hai to aapke Facebook account ka name sabse alag rahega .
• Agar Aap Facebook Par Single Name Use Karte Hai To aap aasani se Facebook par find kiya jaa sakta hai.
• Agar Aapka Koi Dost aapke name ko Facebook par search karta hai to aapka dost aapko asani se find kar sakta hai.
Kyuki Facebook par single name se bahut Kam logo ka account hoga.
So , ye baat to common si ho gayi hai ki kisi single name wale ko Facebook par find karna bahut easy Hai.

Facebook Par Single Name Kyu Use Karna Chahiye

• Facebook par single name rakhne par aapko koi bhi asani se Facebook par find kar sakta hai. Kyuki single name wali trick bahut Kam logo ko pata hai.
• Facebook par single name rakhne se aap easily kisi ko apna talent dikha sakte hai.
• Facebook par ek name ke bahut se log rahte hai agar aap apne Facebook account na name single rakhte hai to aapko koi bhi easily find kar sakta hai.

Facebook Par Single Name Use Karne Ke Liye Kin - Kin Chizo Ki Jarurat Hai

• Facebook par single name rakhne ke liye sabse important hai ki aapke pass Facebook account ka hona.
• Aapke pass high speed na net hona chahiye jisse ki is trick par work karte time koi problems na ho.
• Agar Aapko Tamil language aati hai to thik hai agar nhi aati hai to bhi thik hai.
• Agar aapne apne Facebook account na name jaldi ( 60 din ke andar ) change kiya hai to aap is trick ka use nahi kar sakte hai.
Aur agar aap yah trick use karna chahte hai to jis din aapne apne Facebook account ka name change kiya hai us din se 60 din ke baad aap is trick ka use kar sakte hai.

Facebook Account Par Single Name Kaise Use ( Set ) Kare

Step 1 :- sabse pahle apne Facebook account ko logout Kare  Aur iske baad is trick ka use Kare.
Step 2 :- Apne Facebook account ko logout Karne ke baad Facebook ke mobile version me aapko Jana hai agar aapko mobile ke Facebook mobile version ma Jana nhi aata hai to niche ke link par click Kare.
Step 3 :- Iske Baad aapse aapka Facebook account login Karne ke liye bola jayega Aur aapko apna Facebook account ko login karna Hai. ( but dhyan rahe ki Facebook mobile version me hi hona chahiye )
Step 4 :- Apne Facebook account ko login Karne ke baad aapko Facebook ke last me MATLAB footer me jaana Hai Aur waha par aapko Setting & Privacy par click Karna hai.
Step 5 :- Setting & privacy par click Karne ke baad ek new page open hoga Aur waha par aapko Language Ke option par click karna hai.
Step 6 :- Language par click Karne ke baad aapko show Facebook In This Language par click karna hai.
Step 7 :- Iske baad aapko usme Tamil Language select karna hai.
Language select Karne ke baad aap jis bhi page par honge wah kuchh is type ka ho jayega.
Step 8 :- ab Aapko Facebook setting me jaana Hai agar aapko language samjh me nahi aa rahi hai to Facebook setting page me Jane ke liye niche link par click Kare.


Step 9 :- ab Facebook account setting me Jane ke baad ek new page open hoga jisme aapko apne name par click karna hai
Apne name par click Karne ke baad ek new page open hoga Jo kuch is type ka rahega.
Isme Aapko apne last name ko remove karne ke baad Jo blue color ka box hai uspe click karana Hai.
Name remove Karne ke baad kuch yesa ho jayega Aur iske baad aapko blue color ke box par click Karna hai.
Step 10 :-  blue color ke box par click Karne ke baad aapko samne ek new page open hoga. Jisme aapse aapke Facebook account ka password manga jayega.
Blank box me apna password dalne ke baad aapke samne Jo blue color ka box dikh raha hai Aapko uspar click karna Hai.
Blue color ke box par click Karne ke baad Aapke Facebook account ka name single ho jayega Aur ab aapko apne Facebook account ke language ko change karna hai .
Language change Karne ke liye scroll down Karke last me jaye Aur waha se apne language ko apne according change Kare.
Agar Aapko is post me koi problems hai to hame comments Karke bataya.
Agar post achchi lagi to share jarur Kare.

Axact

Axact

Vestibulum bibendum felis sit amet dolor auctor molestie. In dignissim eget nibh id dapibus. Fusce et suscipit orci. Aliquam sit amet urna lorem. Duis eu imperdiet nunc, non imperdiet libero.

Post A Comment:

0 comments: